daman-e-tar-tar ke qisse chhid gae hain bahaar ke qisse mai barasne lagi nigahon se be-piye bhi khumar ke qisse dil pareshan hai to sunae ja mausam-e-khush-gawar ke qisse chashm-e-tar mein tasawwur-e-furqat nok-e-mizhgan pe khar ke qisse sham-e-hijran bade rasile the aankh mein intizar ke qisse raat dasht-e-wafa mein khub chale chashm-e-ahu-shikar ke qisse sun sakoge sunae gar 'asi' dar-e-hasti pe yar ke qisse