aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar

aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar
chaha tujhe maujud-o-mayassar se nikal kar

din se bhi uthate nahin hum raat ke parde
khwabon ke taaqub mein hain bistar se nikal kar

diwar ke sae mein bhi ek shahr hai aabaad
dekha hi nahin tu ne kabhi ghar se nikal kar

chashme pe jo pani ke liye hath badhaun
chingariyan aa jati hain patthar se nikal kar

pahchan rahi thi mujhe sahil pe bichhi ret
ek lahr chali aai samundar se nikal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close