dil mein tere ai nigar kya hai hota nahin ham-kanar kya hai aaya jo dam wo hai ghanimat is zist ka e'tibar kya hai hain seb se bhi wo chhatiyan sakht aage un ke anar kya hai duniya ke ye sab dhakosle hain turbat kaisi mazar kya hai taus se chhed-chhad kaisi han ai dil-e-dagh-dar kya hai jo jo wo ranj den uthao jab dil hi diya to aar kya hai main chahta hun use na chahun dil par mera ikhtiyar kya hai mizhgan ka hai mere dil mein khatka ai khushbu-e-nok-e-khar kya hai mitti meri khak mein milai mujh se un ko ghubar kya hai daudun to mujhe saba na pae paidal kaisa sawar kya hai bose ki talab ki wasl ka zikr farmaiye nagawar kya hai hai kya 'agha' tadap raha hai kyun kahte ho bar bar kya hai