aag aangan mein KHud laga di hai

aag aangan mein khud laga di hai
jis ne insaf ki nida di hai

bhai do bat gae zaminon mein
ghar mein diwar ek bana di hai

tum hi iblis ke sipahi ho
tum ne taqsim ko hawa di hai

ek sada us ne an-suni kar di
barha hum ne kab sada di hai

raushni hijr mein aziyyat thi
jab bhi shama jali bujha di hai

jhut ki aar-par lazzat ne
sach ki tasir hi bhula di hai

dosto kashtiyan jalani thin
tum ne tarikh hi jala di hai

log sab muntashir na ho jaen
aaj phir ishq ne sada di hai

haarta kyon 'khalil' man ne jab
chum kar kal jabin dua di hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close