wafa ki KHu pas-e-jah-o-jalal rah gai thi

wafa ki khu pas-e-jah-o-jalal rah gai thi
ana ke khol mein wo be-misal rah gai thi

khatak rahi hai na jaane kyon aaj bhi dil mein
jo ek baat darun-e-sawal rah gai thi

mila jo mauqa to hum faeda uthaenge
ki pichhli bar adhuri dhamal rah gai thi

janab-e-qais bhi marne mein haq-ba-jaanib the
ki shahr bhar mein wahi khush-khisal rah gai thi

samay ki gard ne ojhal kiye sabhi qisse
magar jo ek thi chahat kamal rah gai thi

ghalat kaha tha ki rahat mili mohabbat se
ye zindagi to thakan se nidhaal rah gai thi

ye log aag lagane mein itne mahir the
musalahat to pas-e-ishtial rah gai thi

main odhe phirta hun ab june ke mahine mein
nishani us ki jo ek zard shaal rah gai thi

wo misl-e-dard pada rah gaya tha sine mein
so us ki yaad bhi ban ke malal rah gai thi

kabhi na socha 'umar' us ko thes pahunchegi
use meri mujhe fikr-e-ayal rah gai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close