aag bahte hue pani mein lagane aai tere khat aaj main dariya mein bahane aai phir teri yaad nae khwab dikhane aai chandni jhil ke pani mein nahane aai din saheli ki tarah sath raha aangan mein raat dushman ki tarah jaan jalane aai main ne bhi dekh liya aaj use ghair ke sath ab kahin ja ke meri aql thikane aai zindagi to kisi rahzan ki tarah thi 'anjum' maut rahbar ki tarah rah dikhane aai