zindagi apni qarine se basar hoti nahin mukhtasar karta hun lekin mukhtasar hoti nahin de gaya tarikiyan itni wo ahl-e-shahr ko sar pe suraj aa gaya phir bhi sahar hoti nahin pahle apne sath chalte the sitare shauq se ab to apni raushni bhi ham-safar hoti nahin is tarah chup-chap mere pas aa jate hain log ghar ke darwaze ki chaukhat ko khabar hoti nahin