aag dekhun kabhi jalta hua bistar dekhun raat aae to yahin khwab-e-mukarrar dekhun ek bechain samundar hai mere jism mein qaid tut jae jo ye diwar to manzar dekhun raat gahri hai bahut raaz na degi apna main to suraj bhi nahin hun ki utar kar dekhun khud pe kya bit gai itne dinon mein tujh bin ye bhi himmat nahin ab jhank ke andar dekhun koi is daur mein elan-e-nabuwat karta aarzu thi ki khuda-saz payambar dekhun ek sannata hun patthar ke jigar mein paiwast main koi but to nahin hun ki nikal kar dekhun yun nashe se kabhi do chaar tera gham ho ki main band aankhon se khuli aankh ka manzar dekhun odh kar khak 'mujibi' sunun dushnam-e-jahan ye tamasha hi kisi roz miyan kar dekhun