kasrat se dagh hain jo gham-e-ishq-e-khal mein til bhar jagah nahin hai dil-e-pur-malal mein ifsha-e-raaz-e-ishq jo ashkon ne kar diya duba hua hai dil araq-e-infial mein rahti nahin hai zulf-e-pareshan banaw se bikhri hai is liye ki phanse koi jal mein ai jaan dil ke gor-e-ghariban mein aaiye sab aarzuen dafn hain gard-e-malal mein dil ko jo yaad-e-jalwa-e-ariz hai dam-ba-dam raushan hai sham-e-husn makan-e-khayal mein kya dil dukhaoge jo maza dard ka nahin dam bhar to baitho aa ke dil-e-pur-malal mein hum ko hujum-e-gham bhi ghanimat hua 'nazar' sab aib dil ke chhup gae gard-e-malal mein