aag jalne ka sabab ma'lum hai kya hamein pahle se sab ma'lum hai phul chunne us ko mat bhejo jise marne wale ki tarab ma'lum hai budhha jaise log bhi mare gae maut ko sab ki talab ma'lum hai jab mashinen sath na dengi kabhi kya karenge log tab ma'lum hai is liye rota nahi main maut par mujh ko thoda sa adab ma'lum hai