andhere ke aaghosh mein wo chhupa hai ujala samay ka mahak to raha hai jo takiya ho bhigi samajh lo ishaare bilakte bilakte koi so gaya hai tabahi ke aalam mein hansta sitara kai mushkilon se chahak kar mila hai muqaddas ho sirat bhale chahe jitni farebi si surat ko sab kuchh rawa hai na daman pasara na sar tha jhukaya na shikwa kisi se na koi gila hai sahi baat kahte hamesha hain darte ye sach ka safina ufuq se gira hai nahin chahiye raushni ab falak ki charaghon sa man sab taraf se khula hai lage sath bhaari khule aasman mein qafas se nikal bandishon se ghira hai kyon lipta wo chadar mein be-fikr ho kar gunahon ka khata adhura pada hai shajar rutha rahta hai har-waqt dekho nahin koi arse se aa kar ruka hai sabhi se hai rishta koi be-zaban sa kharaba makan jaisa lagne laga hai muqaddar ke chabuk se puchho zara ab chaman se hawa kya abhi bhi juda hai musalsal hai hoti yahan par jo barish to phir kyon mera kucha sukha pada hai ye jhuton ki hasti ghuli hai faza mein haqiqat pe dekho kyon parda pada hai