aag ke darmiyan se nikla main bhi kis imtihan se nikla phir hawa se sulag uthe patte phir dhuan gulsitan se nikla jab bhi nikla sitara-e-ummid kohr ke darmiyan se nikla chandni jhankti hai galiyon mein koi saya makan se nikla ek shoala phir ek dhuen ki lakir aur kya khak-dan se nikla chand jis aasman mein duba kab usi aasman se nikla ye guhar jis ko aaftab kahen kis andhere ki kan se nikla shukr hai us ne bewafai ki main kade imtihan se nikla log dushman hue usi ke 'shakeb' kaam jis mehrban se nikla