aaya hai har chadhai ke baad ek utar bhi pasti se ham-kanar mile kohsar bhi aakhir ko thak ke baith gai ek maqam par kuchh dur mere sath chali rahguzar bhi dil kyun dhadakne lagta hai ubhre jo koi chap ab to nahin kisi ka mujhe intizar bhi jab bhi sukut-e-sham mein aaya tera khayal kuchh der ko thahar sa gaya aabshaar bhi kuchh ho gaya hai dhup se khakistari badan kuchh jam gaya hai rah ka mujh par ghubar bhi is faslon ke dasht mein rahbar wahi bane jis ki nigah dekh le sadiyon ke par bhi ai dost pahle qurb ka nashsha ajib tha main sun saka na apne badan ki pukar bhi rasta bhi wapsi ka kahin ban mein kho gaya ojhal hui nigah se hirnon ki dar bhi kyun ro rahe ho rah ke andhe charagh ko kya bujh gaya hawa se lahu ka sharar bhi kuchh aql bhi hai bais-e-tauqir ai 'shakeb' kuchh aa gae hain baalon mein chandi ke tar bhi