aag ke phul pe shabnam ke nishan dhundoge tum haqiqat ke liye wahm-o-guman dhundoge kaun si aas mein ye sara jahan dhundoge ek aawara si khushbu ko kahan dhundoge sath kuchh roz ka hai rasta chalte logo hum chale jaenge qadmon ke nishan dhundoge tir tarkash mein agar bach bhi gae to kya hai mil na paegi kahin apni kaman dhundoge raat ki god mein khushiyon ke sitare bhar lo phir to suraj ko liye aisa saman dhundoge jab chale jaenge banjare bahaaren le kar phul walon ki nagar bhar mein dukan dhundoge is sarae se nikal aage badhoge jab bhi chand taron se pare apna makan dhundoge