aag mein jalte hue dekha gaya hai aasman galte hue dekha gaya hai ek be-chehra musafir rang odhe dhund mein chalte hue dekha gaya hai mutthiyan bhar kar use tarikiyon se shakl par malte hue dekha gaya hai ghar mein bhi hun aur mujh ko dasht mein bhi dhup mein jalte hue dekha gaya hai chaudhwin ke chand mein us ka sarapa subh-dam dhalte hue dekha gaya hai