ajab rang-e-tilism-o-tarz-e-nau hai diya hai aag ka mitti ki lau hai mujhe sun lengi to dekhengi aankhen meri aawaz mein suraj ki zau hai rikab aur bag qabu mein nahin hain ye asp-e-waqt kitna tez-rau hai meri tarif ke hain do hawale qadam aflak par mutthi mein jau hai nahin hai hurriyat ki koi qimat magar pinjre ki qimat chaar sau hai main kya hariyaliyon ki aas bandhun zamin ke sath sapna bhi giro hai 'tarir' aansu hain aur dhundhlahaten hain ye kaisi kahkashaon ki jilau hai