aag se sairab dasht-e-zindagani ho gaya shoala-e-dil aankh mein aaya to pani ho gaya dard sine mein utha mathe pe shiknen pad gain rang chehre ka sada-e-be-zabani ho gaya teri aankhen aaina hathon mein le kar aa gain ru-ba-ru ho kar tere main apna sani ho gaya jab bhadak uttha tha tere qurb se mera badan nam un hassas lamhon ka jawani ho gaya kar diya tha main ne jo aawara patton par raqam raaz wo ruswa hawaon ki zabani ho gaya ek an-mit raushni tha arsh ki mehrab par aadmi ke rup mein aa kar main fani ho gaya jin ke sinon mein dhadakta tha 'muzaffar' mera dil aaj main un ke liye bhuli kahani ho gaya