is gham ki dhup mein mujhe purwaiyan na do jalne do apni zulf ki parchhaiyan na do larzan hain do-jahan qayamat bapa na ho apne shuur-e-husn ko angdaiyan na do aa jao kab se khalq tarasti hai did ko parde mein apne aap ko tanhaiyan na do ho jae jis mein gharq meri kashti-e-umid wo bahr-e-iztirab ki gahraiyan na do hoti hain kargar kahin jhuti tasalliyan ai chaarasazo dil ko shakebaiyan na do roz-e-azal se hai dil-e-wahshi junun-pasand majnun ko zauq-e-anjuman-araiyan na do 'afat' utha lun hath na us zist se kahin mere junun-e-ishq ko ruswaiyan na do