aag si barasti hai sabz sabz patton se dur bhagte hain log shahr ke darakhton se pichhli raat jab har su zulmaton ka pahra tha ek chand nikla tha in hasin darichon se jaane chhu gae honge kis ke phul se panw ek mahak si uthti hai is nagar ke raston se aaj ke zamane mein kis ko hai sukun hasil sab hain bar-sar-e-paikar apni apni sochon se tirgi se bhi jis ki phul se jhaden 'betab' kyun wo raushni mange dusron ki subhon se