mere khat ka jawab aaya tha khat na likkha karo ye likkha tha main zaban se to kah nahin sakta jo nazara nazar ne dekha tha waqt-e-mushkil wo sath chhod gaya jis pe mujh ko bada bharosa tha apne begane hote jate the bas isi baat ka achambha tha qatl karta tha be-gunahon ka sab ki nazron mein jo farishta tha jis mein 'rana' hamari umr kati wo zamana bhi kya zamana tha