aagahi aur aagahi dijiye aagahi kuchh aur tirgi ghor ghor hai phenkiye raushni kuchh aur is ka khuda sanam sanam us ka khuda haram haram ishq ki gumrahi kuchh aur aql ki gumrahi kuchh aur us ki tahi hai jeb aur is ka dimagh hai tahi us ki hai muflisi kuchh aur is ki hai muflisi kuchh aur naz tera chaman chaman raaz tera dahan dahan kahti hai tirgi kuchh aur kahti hai raushni kuchh aur kahti hai dopahar ki dhup mera mizaj garm hai lekin ujali raat mein kahti hai chandni kuchh aur bad hai koi na nek hai donon ka maqsad ek hai garche hai rahzani kuchh aur garche hai rahbari kuchh aur garche khuda ko aap ne mah-e-laqa bana diya us ke firaq mein 'jamil' kijiye shaeri kuchh aur