dar-o-diwar khud-kushi kar len hum jo na-chaar khud-kushi kar len phir na kahna mazaq tha pyare waqai yar khud-kushi kar len kaam karna hi shart hai to phir kyun na is bar khud-kushi kar len jin charaghon ko maut ka dar hai wo sar-e-dar khud-kushi kar len us se pahle ki samain sewam aham kirdar khud-kushi kar len jo hain nadan wo zindagi jhelen aur samajhdar khud-kushi kar len main to kahta hun josh ki manen sab qalam-kar khud-kushi kar len