aagahi ke dar khule to zindagi achchhi lagi ham-damon ki bhid mein begangi achchhi lagi shahr ke har mod par aawaz ke jangal mile hum ko apne ganw hi ki khamushi achchhi lagi yun to hum dete rahe tere sawalon ka jawab han magar ai dost teri sadgi achchhi lagi tajziya haalat ka hum har tarah karte rahe jab samajh aajiz hui be-maegi achchhi lagi waqif-e-adab-e-mai-khana hua to 'nur' ko mai-kashi ke bil-muqabil tishnagi achchhi lagi