yahi samjha hun bas itni hui hai aagahi mujh ko na ras aaegi shayad zindagi-bhar zindagi mujh ko mila ranj-o-alam mein bhi surur-e-zindagi mujh ko nazar aati hai aksar tirgi mein raushni mujh ko na ab ehsas-e-ranj-o-gham na ehsas-e-khushi mujh ko ye kis markaz pe le aai meri diwangi mujh ko chhalak aae hain aansu jab bhi aai hai hansi mujh ko sunati hi rahi paigham-e-gham meri khushi mujh ko na dena tha agar kuchh ikhtiyar-e-zindagi mujh ko to kyun ai khaliq-e-alam banaya aadmi mujh ko siyah-bakhti hui hai saya-afgan is qadar mujh par nazar aati hai har-su tirgi hi tirgi mujh ko 'jalis' ehsan kya kam hai ye meri bad-nasibi ka tamiz apne parae ki to aakhir ho gai mujh ko