aagahi mein ek khala maujud hai is ka matlab hai khuda maujud hai hai yaqinan kuchh magar wazeh nahin aap ki aankhon mein kya maujud hai bankpan mein aur koi shai nahin sadgi ki intiha maujud hai hai mukammal baadshahi ki dalil ghar mein gar ek boriya maujud hai shauqiya koi nahin hota ghalat is mein kuchh teri raza maujud hai is liye tanha hun main garm-e-safar qafile mein rahnuma maujud hai har mohabbat ki bina hai chashni har lagan mein muddaa maujud hai har jagah har shahr har iqlim mein dhum hai us ki jo na-maujud hai jis se chhupna chahta hun main 'adam' wo sitamgar ja-ba-ja maujud hai