aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin hasil-e-umr magar umr ka hasil bhi nahin aankh uthao to hijabaat ka ek aalam hai dil se dekho to koi rah mein hail bhi nahin dil to kya jaan se bhi inkar nahin hai lekin dil hai badnam bahut phir tere qabil bhi nahin uljhanen lakh sahi zist mein lekin yaro raunaq-e-bazm-e-jahan nazr-e-masail bhi nahin tere diwane khuda jaane kahan ja nikle der se dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin dard ki aanch bana deti hai dil ko iksir dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin ghaur se dekho to ye zist hai zakhmon ka chaman aur 'jawed' ba-zahir koi ghail bhi nahin