khadshe the sham-e-hijr ke subh-e-khushi ke sath tarikiyan bhi pai gain raushni ke sath jari hai subh-o-sham jafaon ka silsila kitna hai un ko rabt meri zindagi ke sath ab dekhna hai mujh ko tere aastan ka zarf sar ko jhuka raha hun badi aajizi ke sath zakhm-e-jigar khula to tabassum kaha gaya insaf ho saka na chaman mein kali ke sath lamhe to zindagi mein mile an-ginat magar ek lamha bhi guzar na pae khushi ke sath waqt-e-sahar hai uttho kamar tum bhi bandh lo suraj nikal raha hai nai raushni ke sath 'saqi' har ek ke bas ka nahin kar-e-mai-kashi aadab-e-mai-kashi bhi hain kuchh mai-kashi ke sath