aage harim-e-gham se koi rasta na tha achchha hua ki sath kisi ko liya na tha daman-e-chaak chaak gulon ko bahana tha dil ka jo rang tha wo nazar se chhupa na tha rang-e-shafaq ki dhup khili thi qadam qadam maqtal mein subh-o-sham ka manzar juda na tha kya bojh tha ki jis ko uthae hue the log mud kar kisi ki samt koi dekhta na tha kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine dil us ko dhundhta tha jise jaanta na tha kuchh log sharmsar khuda jaane kyun hue apne siwa hamein to kisi se gila na tha har ek qadam utha tha nae mausamon ke sath wo jo sanam tarash tha but pujta na tha jis dar se dil ko zauq-e-ibaadat ata hua us aastan-e-shauq pe sajda rawa na tha aandhi mein barg-e-gul ki zaban se ada hua wo raaz jo kisi se abhi tak kaha na tha