tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge

tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge
sar marka-e-dar-o-rasan karte rahenge

wo daur-e-khizan ho ki bahaaron ka zamana
hum yaad tujhe jaan-e-chaman karte rahenge

rangin tere zikr se hum sher o sukhan ko
ai jaan-e-sukhan markaz-e-fan karte rahenge

is aabla-pai pe bhi hum teri talab mein
tai jada-e-alam-o-mehan karte rahenge

duniya hamein diwana samajhti hai to samjhe
hum aam gham-e-dil ka chalan karte rahenge

jalte hain jise sun ke andhere ke parastar
hum aam wahi tarz-e-sukhan karte rahenge

gulshan mein na hum honge to phir sog hamara
gul-pairahan o ghuncha-dahan karte rahenge

'zahid' be-taqaza-e-wafa tarah-e-yaqin par
hum koshish-e-tamir-e-watan karte rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close