aage kya tum sa jahan mein koi mahbub na tha kya tumhin khub bane aur koi khub na tha in dinon hum se jo wahshi ki tarah bhadko ho ye to milne ka tumhaare kabhu uslub na tha nama-bar dil ki tasalli ke liye bhejun hun warna ahwal mera qabil-e-maktub na tha taqat ab taq hui sabr-o-shakebai ki kab talak sabr kare dil mera ayyub na tha ghalba-e-ishq ne 'hatim' ko pachhada aakhir zor mein apne wo itna bhi to maghlub na tha