kahin din guzar gaya hai kahin raat kat gai hai ye na puchh kaise tujh bin ye hayat kat gai hai ye udas udas mausam ye khizan khizan fazaen wahi zindagi thi jitni tere sath kat gai hai na tujhe khabar hai meri na mujhe khabar hai teri teri dastan se jaise meri zat kat gai hai ye tera mizaj tauba ye tera ghurur tauba teri bazm mein hamesha meri baat kat gai hai tere intizar mein main jali khud charagh ban kar teri aarzu mein aksar yunhi raat kat gai hai na wo ham-khayal mera na wo ham-mizaj mera phir usi ke sath kaise ye hayat kat gai hai ye kitab qismaton ki likhi kis qalam ne 'nikhat' kahin par to shah kati hai kahin mat kat gai hai