aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya

aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya
chashm-e-ghaflat na khuli subh ka tara bhi gaya

sard-mehri se teri garmi-e-ulfat na rahi
dil mein uthta tha jo har-dam wo sharara bhi gaya

dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi
jis ko dhoka main samajhta tha wo dhoka bhi gaya

ishq ko tab-e-tajalli nahin kya dekhega
husn ye jaan ke pardon ko uthata bhi gaya

kis ne pai hai gham-e-yar-e-mohabbat se najat
ishq ka bojh kahin sar se utara bhi gaya

tere qadmon pe jo lazzat hai wo hasil na hui
yun to sajde mein sar-e-ijz jhukaya bhi gaya

dil ki aashufta-mizaji mein na kuchh farq aaya
barha zulf-e-pareshan ko sanwara bhi gaya

mangne se kahin ye chiz mila karti hai
dil churane hi ke qabil tha churaya bhi gaya

be-khudi tujh pe tasadduq hon mere hosh-o-hawas
samne hote hue un ko pukara bhi gaya

ek hi chiz hai parde mein ki bairun-e-hijab
mujh ko zahir bhi kiya khud ko chhupaya bhi gaya

phir bhi aankhen rahin mahrum-e-tamasha-e-jamal
un ki taswir ko shishe mein utara bhi gaya

chhod kar mujh ko bhanwar mein na khabar li meri
ek sahaara tha tumhaara wo sahaara bhi gaya

pa-e-mahbub pe sar rakh ke hue hum 'wasil'
zindagi pai nai maut ka dhadka bhi gaya

dil ke aaine mein nadida tajalli dekhi
khud-numai ka bhala ho ki wo parda bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close