aaghaz-e-ishq umr ka anjam ho gaya nakaamiyon ke gham mein mera kaam ho gaya tum roz-o-shab jo dast-ba-dast-e-adu phire main paemal-e-gardish-e-ayyam ho gaya mera nishan mita to mita par ye rashk hai wird-e-zaban-e-khalq tera nam ho gaya dil chaak chaak naghma-e-naqus ne kiya sab para para jama-e-ehram ho gaya ab aur dhundiye koi jaulan-gah-e-junun sahra ba-qadr-e-wusat-e-yak-gam ho gaya dil pech se na turra-e-pur-kham ke chhut saka baala-rawi se murgh tah-e-dam ho gaya aur apne haq mein tan-e-taghaful ghazab hua ghairon se multafit but-e-khud-kaam ho gaya tasir-e-jazba kya ho ki dil iztirab mein taskin-pazir bosa-ba-paigham ho gaya kya ab bhi mujh pe farz nahin dosti-e-kufr wo zid se meri dushman-e-islam ho gaya allah-re bosa-e-lab-e-mai-gun ki aarzu main khak ho ke durd-e-tah-e-jam ho gaya ab tak bhi hai nazar taraf-e-baam-e-mah-wash main garche aaftab-e-lab-e-baam ho gaya ab harf-e-na-saza mein bhi un ko daregh hai kyun mujh ko zauq-e-lazzat-e-dushnam ho gaya