aakhir ye husn chhup na sakega naqab mein sharmaoge tumhin na karo zid hijab mein pamal shokhiyon mein karo tum zamin ko dalun falak pe zalzale mein iztirab mein raushan hai aaftab ki nisbat charagh se nisbat wahi hai aap mein aur aaftab mein dil ki girah na wa hui dard-e-shab-e-visal guzri tamam bast-o-kushad-e-naqab mein jaan main ne nama-bar ke qadam par nisar ki tha pesh-e-pa fatada ye mazmun jawab mein hans hans ke barq ko to zara kije be-qarar ro ro ke abr ko main dubota hun aab mein waiz se dar gae ki na shamil hue hum aaj tartib-e-mahfil-e-mai-o-chag-o-rabab mein saqi idhar to dekh ki hum dair-e-mast hain kuchh masti-e-nigah bhi mila de sharab mein dakhil na dushmanon mein na ahbab mein shumar madd-e-fuzul hun main tumhaare hisab mein kis kis ke jaur uthaenge aage ko dekhiye dushman hai charkh-e-pir zaman-e-shabab mein paighambar ishaara-e-abru se mar gaya phir ji uthega lab bhi hila do jawab mein