aaghaz-e-jafa yaad na anjam-e-wafa yaad jab samne tum aae to kuchh bhi na raha yaad ab yaad nasheman hai na bijli ki jafa yaad nikle the kuchh aise ki chaman tak na raha yaad jis ne meri soi hui duniya ko jagaya aa jati hai ab bhi wo mohabbat ki sada yaad ehsas sa hota hai dhadakte hue dil ko shayad mujhe bhuli hui duniya ne kiya yaad jo dil mein tamanna tha jo aankhon mein sharar tha ab bhi hai us aansu ke tapakne ki sada yaad didar ki hasrat thi tamanna thi gila tha jab hosh mujhe aaya to kuchh bhi na raha yaad wo aatish-e-rukhsar na wo shoala-o-saghar kuchh bhi nahin makhmur nigahon ke siwa yaad jis ne ki milae the sitaron se sitare ab tak hai us angdai ke lene ki ada yaad phulon mein wo halki si kali khil gai jaise ai 'fazl' wo andaz-e-tabassum hi raha yaad