ajab thahraw tha jis mein masafat ho rahi thi rawana bhi nahin tha aur hijrat ho rahi thi banaya ja raha tha canwas par zard suraj ubhaara ja raha tha naqsh hairat ho rahi thi kahin jata nahin tha main kahin aata nahin tha yaqin aata nahin tha aisi haalat ho rahi thi mera us ke bina to ji zara lagta nahin tha udasi laut aai thi masarrat ho rahi thi charagh ek ek kar ke raushni karne lage the mujhe in sab charaghon se mohabbat ho rahi thi naya ek bagh tha aur is ko kata ja raha tha parindon ko abhi pedon ki aadat ho rahi thi bichhad jaane ka kuchh kuchh khauf bhi hone laga tha mujhe us ke rawayye par bhi hairat ho rahi thi nahin thi zindagani bhi wahan hasab-e-tamanna mohabbat bhi wahan hasb-e-zarurat ho rahi thi ye aansu to na the jo bah rahe the hijr-e-gul mein ye khushbu thi jo aankhon se riwayat ho rahi thi mujhe khud mein koi sahra mayassar aa gaya tha udai ja rahi thi khak wahshat ho rahi thi mukammal bad-gumani ho gai thi us ko 'sayyad' palatne mein mujhe bhi ab suhulat ho rahi thi