aaghaz-e-mohabbat ka to anjam nahin hai ye subh wo hai jis ki kabhi sham nahin hai kya dekhta hai apne siwa dekhne wale aaina-e-dil jalwa-gah-e-am nahin hai allah ri taqdir ki nakaami-e-paiham yun baitha hun ab jaise koi kaam nahin hai be-wajh kiya qaid asiron ko qafas mein sayyaad ke sar phir bhi to ilzam nahin hai marne nahin deti hai rihai ki tamanna duniya mein mujhe warna koi kaam nahin hai ab khak ho aiman ke bayaban mein tajalli 'afqar' koi be-parda sar-e-baam nahin hai