a bulbul-e-khush-lahn ye shirin sukhani dekh sad-rang-e-qaba dekh meri gul-badani dekh har mauj-e-saba par bhi lachak jae hai ai hai ai shakh-e-gul-andam ye gul-rez-tani dekh dil kufa ki manind hua jata hai yarab a mamba-e-rahmat za-nigah-e-madani dekh waqif hi nahin tu meri tarikh se naqid ek bar palat kar kabhi khalq-e-hasni dekh dil lagta hai bahar se jo bosida makan sa dakhil to kabhi ho ke ye qasr-e-adni dekh