aaghaz hua hai ulfat ka ab dekhiye kya kya hona hai ya sari umr ki rahat hai ya sari umr ka rona hai shayad tha bayaz-e-shab mein kahin iksir ka nuskha bhi koi ai subh ye teri jholi hai ya duniya bhar ka sona hai tadbir ke hathon se goya taqdir ka parda uthta hai ya kuchh bhi nahin ya sab kuchh hai ya miti hai ya sona hai tute jo ye band-e-hayat kahin is shor-o-shar se najat mile mana ki wo duniya ai 'afsar' sirf ek lahad ka kona hai