khuli aankhon mein dar aane se pahle nazar aao nazar aane se pahle nahin tha mujh ko zoam-e-parsai koi ilzam sar aane se pahle hamein dar-pesh thi naql-e-makani tera hukm-e-safar aane se pahle gale milti hai mujh se be-ghari bhi gali mein roz ghar aane se pahle hua karte hain raste bhi rukawat guzar ja rahguzar aane se pahle nazar-andaz kar deti thi aankhen mujhe tujh sa nazar aane se pahle bahut aasan tha kar-e-hunar bhi mere hathon hunar aane se pahle kabhi to bar-war ho jae 'ahmad' dua bab-e-asar aane se pahle