aaghosh-e-gul mein lazzat-e-sohbat nahin rahi kis se kahun ki qaus-e-mohabbat nahin rahi maujud hun bisat-e-tamanna ke dasht mein pahlu mein aabru-e-hazimat nahin rahi dekha use to qarz-e-wafa yaad aa gaya baaton mein us ki khu-e-iradat nahin rahi main bhul ke bhi us ki gali mein na jaungi pahchanti hun dil mein murawwat nahin rahi shamon ke sae dhundne nikle the kal yahin kahte hain aaj ishq ki mohlat nahin rahi bikhre hue hain lafz bhi nauhagari kahan dil mein hawa-e-khalwat-o-jalwat nahin rahi ab bas karo ki aankhon mein pani nahin raha is zindagi mein ab koi tohmat nahin rahi