thak ke baitha tha ki manzil nazar aai mujh ko hausla dene lagi aabla-pai mujh ko nazr kar dete hain wo apni kamai mujh ko sar uthane nahin dete mere bhai mujh ko main jahan jata hun is paikar-e-nuri ke siwa aur kuchh bhi nahin deta hai dikhai mujh ko is sitam-pesha ne qurbat ka na marham rakkha umr-bhar deta raha zakhm-e-judai mujh ko mushkilon mein bhi mere hausle shadab rahe rok sakti hi nahin waqt ki khai mujh ko main to har sans ko deta raha jine ka khiraj zindagi phir bhi kabhi ras na aai mujh ko us se barham main nahin phir bhi magar mera harif umr-bhar deta raha apni safai mujh ko tere aane ki khabar ne mujhe bechain rakha so gaya chand magar nind na aai mujh ko isi ummid pe marmar ke jiye jata hun wo meri qaid se kab dega rihai mujh ko mujh se kuchh sunne pe aamada na thi khalq-e-khuda umr-bhar us ne magar apni sunai mujh ko ek nae gham se shanasa kiya mahrumi ne zindagi jab bhi teri bazm mein lai mujh ko wo bhi sharminda nazar aata hai 'nuri' akasr nazar aati hi nahin jis mein burai mujh ko