aah ai sauda-e-kham-e-arzu ta-ba-kai aakhir nizam-e-arzu zabt-e-ah-e-dil-shikan aur main hazin kar raha hun ehtiram-e-arzu hoshiyar ai infial-e-kaif-za husn tak pahuncha payam-e-arzu chashm-e-lutf-agin nae andaz se le rahi hai intiqam-e-arzu ahl-e-dil zinda hain kis ummid par nazm-e-duniya hai nizam-e-arzu yas ki gunjaishen kis dil mein hain le raha hai kaun nam-e-arzu bazm-e-anjum jab sarapa-gosh thi kash tum sunte payam-e-arzu aah ab khuddari-e-akbar kahan ho gai wo bhi ghulam-e-arzu