akeli ruh akela mera badan bhi hai akele-pan ka ye sahra mera chaman bhi hai kushud-e-zat ka munkir tha kab khabar thi mujhe barahnagi hi meri mera pairahan bhi hai khud apne qurb ki tanhaiyon mein guzra hai wo ek lamha ki khalwat bhi anjuman bhi hai kuchh itna sahl nahin mera fash ho jaana mere badan pe to khwabon ka pairahan bhi hai bana raha tha wo harf-o-sada ke gul-bute use khabar na thi ek sochne ka fan bhi hai