aah aur ashk hi sada hai yan roz barsat ki hawa hai yan jis jagah ho zamin tafta samajh ki koi dil-jala gada hai yan go kudurat se wo na dewe ro aarsi ki tarah safa hai yan har ghadi dekhte jo ho idhar aisa ki tum ne aa nikla hai yan rind muflis jigar mein aah nahin jaan mahzun hai aur kya hai yan kaise kaise makan hain suthre ek azan jumla karbala hai yan ek sisakta hai ek marta hai har taraf zulm ho raha hai yan sad tamanna shahid hain yakja sina-kubi hai taziya hai yan didani hai gharaz ye sohbat shokh roz-o-shab tarfa majra hai yan khana-e-ashiqan hai ja-e-khub jae rone ki ja-ba-ja hai yan koh-o-sahra bhi kar na jae bash aaj tak koi bhi raha hai yan hai khabar shart 'mir' sunta hai tujh se aage ye kuchh hua hai yan maut majnun ko bhi yahin aai kohkan kal hi mar gaya hai yan