aah bargah-e-husn mein jalwon ka asar dekh had se na guzar zabt mein ai zabt-e-nazar dekh mat puchh ki kya guzri dil-shoala-sifat par is dast-e-hinai mein mera daman-e-tar dekh tu us ka tamannai hai mat dar dil-e-nadan ummid nahin phir bhi wo kahta hai to mar dekh ye shahr hai ya khema hai dushman ka sipah ka aawaz ke zakhmon se lahu hai mera sar dekh kyun bahr-e-khamoshi mein hai tu misl-e-sada tang hasrat koi baqi hai to ek bar ubhar dekh shayad tere hisse mein ho moti ka muqaddar ai qatra-e-jaan aaj samundar mein utar dekh kyun panw pasare tu pada hai sar-e-rahe kya sakht safar hai zara sae se idhar dekh shayad ho idhar 'arsh' koi chashma-e-haiwan ek bar tu hasti ke bayaban se guzar dekh