aaKHir humne taur purana chhoD diya

aakhir hum ne taur purana chhod diya
us ki gali mein aana-jaana chhod diya

manzar bhi sab banjh ruton mein dub gae
aankhon par bhi pahra bithana chhod diya

khatm hui shorida-sari lab sil se gae
mahfil mahfil hansna-hansana chhod diya

nazron par khidki ke pat diwar kiye
darwazon mein us ka sajaana chhod diya

jab se hua ehsas diya hone ka hamein
tez hawa ke samne jaana chhod diya

dar tha kahin kuchh apne liye bhi mang na len
hum ne dua ko hath uthana chhod diya

'arsh' hua ek lafz jo minha yaadon se
hum ne ghar ko qufl lagana chhod diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close