aah be-gana-e-asar to nahin wo bhi ab mujh se be-khabar to nahin suni suni padi hai bazm-e-jamal muntazir sab hain muntazar to nahin raste kar rahe hain sargoshi jazba paband-e-rahbar to nahin kat den ek ummid-e-farda par zindagi itni mukhtasar to nahin sirf gard-e-safar hai ai yaro kahkashan un ki rahguzar to nahin jaane kab tut jae tar-e-nafas rishta-e-umr mo'atabar to nahin ai 'hayat' aaina hon kya jalwe sab yahan sahab-nazar to nahin