aah be-tasir hai nala rasa koi nahin dard wo mujh ko mila jis ki dawa koi nahin dekhta hun rah mein mud mud ke har chehre ko main ham-safar kitne hain lekin ham-nawa koi nahin is se badh kar aur kya hoga azab-e-zindagi aankh sab rakhte hain lekin dekhta koi nahin padhte hain is daur ke arbab-e-danish roz-o-shab wo sahife jin mein ki bab-e-dua koi nahin waqt par jo kaam aa jae use achchha kaho ai dil-e-muztar yahan achchha bura koi nahin aagahi ke zoam mein kitne bana dale the rup ab khula ki apna hi nam-o-pata koi nahin tarjuman-e-khar-o-khas 'ahmad' hai puchho un ka haal lala-o-gul ke jahan se wasta koi nahin