aah bhar-bhar ke samne rona

aah bhar-bhar ke samne rona
kisi rahbar ke samne rona

us ko ro kar dikhana aisa hai
jaise patthar ke samne rona

pahle khud hi lagana ghar ko aag
aur phir ghar ke samne rona

mujh ko aati nahin thi aksar nind
main ne bistar ke samne rona

be-waqufi hai dasht mein hansna
aur samundar ke samne rona

us ke pichhe se rona thik nahin
hausla kar ke samne rona

ginte rahna hamari yaad mein din
aur calendar ke samne rona

khatkhatana tamam darwaze
aur har dar ke samne rona

kaun rota hai shauq se 'ahmad'
apne dilbar ke samne rona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close